Bachpan ke woh pal Jo
Sachhey hua kartey
the…
Teri maujudagi mai
hi toh
Hum jiya kartey the…
Khushiyaan aur gham
ka na tha
Ehsas mujhko par…
Terey ehsas se hi
to hum,
Jiya kartey the...
Anmol hai woh
pal..bachpan ke the jo pal...chaahat mai teri hm jab jiya kartey the...
Yaad aati hai woh
yaadein mujhko bhi
Jab chhat se hum
tujhko dekha kartey the...
Ghanton ke baad jab
tu humko dikha karti thi
Dekh ke tujhko tab
hum chhipa kartey the…
Kaid kar unn lamhon
ko,
Muskurakey hum jiya
kartey the…
Anmol hai vo
pal...bachpan ke the Jo pal...chaahat mai teri hum jab jiya kartey the...
Khudha bhi tha meherbaan
Bachpan bhi tha
naadan…
Jo karishma tab hua
kya kehna hai uska merey yaar
Safar Mai hum dono
chalney lagey tab saath…
Karkey khuda ka shukriya
khaayi kasmey humney saath
Safar tha suhana..kasmey thi nibhana
Bachpan ke uss pal
ko ab tha jee jana.
Anmol hai vo
pal...bachpan ke the Jo pal...chaahat mai teri hum jab jiya kartey the...
Sukh dukh ke saathi
hum
Saath saath chaltey
gaye...
Chaltey chaltey hum
aagey hi bhadtey gaye.
Jiya tha humney woh
pal
Jo bachpan se chaahat
thi…
Raha mai terey
saath
Shukriya iss innaayat
ki…
Na janey kab kya
hua
Sab humsey kho gaya…
Bachpan ke pal woh...
jo hum jiya kartey the
jo hum jiya kartey the
Anmol hai vo
pal...bachpan ke the Jo pal...chaahat mai teri hum jab jiya kartey the...
Na janey ye kaisey hua
Karishma toh
phirsey hua
Aakhir Juda hum
dono ho hi gaye...
Sikha hai humney bahut
kuch
Tujhsey oo merey
yaara
Chaahata hoon khushiyaan
teri
Khud se bhi zyada…
Saathi miley tujhko
aisa
Jo nibhaaye kasmey
aur de khushiya saari…
Aur bhula de pal vo
Jo bachpan mai thi
humari…
Milunga jab khuda
se mai
Baatein bahut hongi
Savaalo ke saath
mulakat bhi hogi…
Puchoonga unsey mai..ki
kiya aisa kyu
Diya aapney tab..jab
naadan the hum
Chiinn liya sab..jab
hosiyar huye hum…
Takleef hoti hai ye
Dil bhi rota hai
Bula lo pass apney
ab aur na sahan hota hai.
Anmol hai vo pal...bachpan ke the Jo pal...chaahat mai teri
hum jab jiya kartey the...
Comments
Post a Comment