Maangta nahi mai beti
Isiliye nahi ki chahiye mujhey beta
Isiliye nahi ki chahiye mujhey beta
Darrta hu Mai iss sansaar se
Iss haivaaniyat ke raag se
Iss haivaaniyat ke raag se
Har samay har ghadi
Merey Dil ka bas ek saval hai
Kya Meri maa, Meri beheno ke liye
Surakshit ye sansar hai
Merey Dil ka bas ek saval hai
Kya Meri maa, Meri beheno ke liye
Surakshit ye sansar hai
Samajh Nahi aata mujhey unn Darindo ki kya pehchan hai
Jis maa ki kok se nikley
Usi ko kiya lahu lohan hai
Jis maa ki kok se nikley
Usi ko kiya lahu lohan hai
Janta hu..ki vo Na Kisi jaat ke
Na kisi dharm ke vasi hai
Vo to keval narak ke nivasi hai
Na kisi dharm ke vasi hai
Vo to keval narak ke nivasi hai
Rakha jish aurat jaat ne kok Mai tujhey
Bhara pet tera...liye tujhey aanchal ki aad mai
Uss aurat jaat Ka kiya tuney balatkar hai
Aye khuda haivaaniyat Ka ye kaisa nanga naach hai
Bhara pet tera...liye tujhey aanchal ki aad mai
Uss aurat jaat Ka kiya tuney balatkar hai
Aye khuda haivaaniyat Ka ye kaisa nanga naach hai
Mai janta hu sunn ke ye sab
Har log hai bhadaktey
Liye haatho Mai candle
March pe hai nikaltey
Har log hai bhadaktey
Liye haatho Mai candle
March pe hai nikaltey
Par shayad is apraadh ki taakat itni naa badi hoti
dekhkar bhi ankhein humne agar band na karli hoti
chup naa rehkar aawaz apni pehle hi buland karli hoti
To aaj Meri bhi chahat Meri ek beti hoti
dekhkar bhi ankhein humne agar band na karli hoti
chup naa rehkar aawaz apni pehle hi buland karli hoti
To aaj Meri bhi chahat Meri ek beti hoti
- Tushar Dhanuka
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteWell expressed bhaiya đ❤
ReplyDeleteThanks bhai đ
Delete